SEARCH RESULTS
Showing search results for "ibtisaam"
Sher MATCHES FOR "ibtisaam"
Sher
muKHaalifat se mirii shaKHsiyat sa.nvartii hai
mai.n dushmano.n kaa ba.Daa ehtiraam kartaa huu.n
Bashir Badr
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se
Ehtisham Akhtar
Sher
dil saraapaa dard thaa vo ibtidaa-e-ishq thii
intihaa ye hai ki 'faanii' dard ab dil ho gayaa
Fani Badayuni
Sher
vahaa.n se hai mirii himmat kii ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane kii
Josh Malihabadi
Sher
ibtidaa vo thii ki jiinaa thaa mohabbat me.n muhaal
intihaa ye hai ki ab marnaa bhii mushkil ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
mire aziiz hii mujh ko samajh na paa.e kabhii
mai.n apnaa haal kisii ajnabii se kyaa kahtaa
Ehtisham Akhtar
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
na ibtidaa kii KHabar hai na intihaa ma.aluum
rahaa ye vahm ki ham hai.n so vo bhii kyaa ma.aluum
Fani Badayuni
Sher
suurat to ibtidaa se tirii laa-javaab thii
naaz-o-adaa ne aur tarah-daar kar diyaa