SEARCH RESULTS
Showing search results for "idraak-e-vahdat"
Sher MATCHES FOR "idraak-e-vahdat"
Sher
aashiqo.n kii ruuh ko ta.aliim-e-vahdat ke liye
jis jagah allaah rahtaa hai vahaa.n rahnaa pa.Daa
Muztar Khairabadi
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
dil bhii ajiib KHaana-e-vahdat-pasand thaa
is ghar me.n yaa to tuu rahaa yaa be-dilii rahii
Vipul Kumar
Sher
yaa-rab ye kyaa tilism hai idraak-o-fahm yaa.n
dau.De hazaar aap se baahar na jaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
vo arz-e-Gam pe mirii un kaa ehtimaam-e-sukuut
tamaam shorish-e-tafsiil-e-vaaqi.aat ga.ii
Kausar Jayasi
Sher
davaam paa.egaa ik roz haq zamaane me.n
ye intizaar nahii.n intizaar-e-vahshat hai
Azhar Hashmi Sabqat
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
Ibn e Insha
Sher
chaak ho parda-e-vahshat mujhe manzuur nahii.n
varna ye haath girebaan se kuchh duur nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
beTiyaa.n sab ke muqaddar me.n kahaa.n hotii hai.n
ghar KHudaa ko jo pasand aa.e vahaa.n hotii hai.n
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
bas hukm milaa aur nikal aa.e vahaa.n se
chalte hu.e ujlat me.n hii saamaan liyaa hai
Afzal Gauhar Rao
Sher
ghar rahiye ki baahar hai ik raqs balaa.o.n kaa
is mausam-e-vahshat me.n naadaan nikalte hai.n
Farasat Rizwi
Sher
ham se tahziib kaa daaman nahii.n chho.Daa jaataa
dasht-e-vahshat me.n bhii aadaab liye phirte hai.n
Faragh Rohvi
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
taazgii hai suKHan-e-kuhna me.n ye baad-e-vafaat
log aksar mire jiine kaa gumaa.n rakhte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
mujhe bachaa le mire yaar soz-e-imshab se
ki ik sitaara-e-vahshat jabii.n se guzregaa
Qamar Abbas Qamar
Sher
dasht-e-vahshat me.n junuu.n ne ye bigaa.Dii suurat
ki mirii shakl bhii yaaraan-e-vatan bhuul ga.e