SEARCH RESULTS
Showing search results for "imraan"
Sher MATCHES FOR "imraan"
Sher
KHvaab, ummiid, tamannaa.e.n, ta.alluq, rishte
jaan le lete hai.n aaKHir ye sahaare saare
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
pahlii cigarette pahlaa KHvaab aur pahlaa ishq
in tiino.n me.n ek bhii mujh ko yaad nahii.n
Imran Shamshad Narmi
Sher
achchhaa achchhaa ho jaa.egaa sab kuchh achchhaa
achchhaa achchhaa sab kuchh achchhaa ho jaa.egaa
Imran Shamshad Narmi
Sher
mujh ko to KHair KHaana-badoshii hii raas thii
tere liye makaan banaanaa pa.Daa mujhe
Sidra Sahar Imran
Sher
is na.e saal ke svaagat ke liye pahle se
ham ne poshaak udaasii kii silaa ke rakh lii
Sidra Sahar Imran
Sher
is liye sab se alag hai mirii KHushbuu 'aamii'
mushk-e-mazduur pasiine me.n liye phirtaa huu.n
Imran Aami
Sher
ek baar phir salaam duur jaane vaalo.n ko
duur jaane vaalo.n ko ek baar phir salaam
Imran Shamshad Narmi
Sher
raat ke vaqt ubhartaa hai junuu.n kaa suuraj
din nikalte hii kisii chaa.nd me.n Dhal jaataa hai
Imran Shamshad Narmi
Sher
yaado.n ke shabistaan me.n baiThaa hu.aa saa.il
tanhaa jo nazar aataa hai tanhaa nahii.n hotaa
Sayil Imran
Sher
haar hii jiit hai aa.iin-e-vafaa kii ruu se
ye vo baazii hai jahaa.n jiit ke haare saare
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
vaqt har zaKHm ko bhar detaa hai kuchh bhii kiije
yaad rah jaatii hai halkii sii chubhan kii had tak
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
kyaa jaane shaaKH-e-vaqt se kis vaqt gir pa.Duu.n
maanind-e-barg-e-zard abhii Doltaa huu.n mai.n
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
ik zalzale ke shor me.n sab log dab ga.e
ho ab bayaa.n tabaahii kii tafsiil kis tarah
Imran Raqim
Sher
apne lahuu me.n zahr bhii KHud gholtaa huu.n mai.n
soz-e-daruu.n kisii pe nahii.n kholtaa huu.n mai.n
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
Imran Rahib
Sher
saste me.n un ko bhuulnaa achchhaa lagaa hai aaj
chaa.e kaa ek ghuu.nT bhii kaafii rahaa hai aaj
Imran Rahib
Sher
bahut kashiid kiyaa paaniyo.n ko suuraj ne
samundaro.n kii magar be-karaaniyaa.n na ga.ii.n
Jahangeer Imran
Sher
ajiib KHauf kaa mausam hai in dino.n 'imrran'
sugandh le ke havaa duur tak nahii.n jaatii