SEARCH RESULTS
Showing search results for "inam ul haq javed"
Sher MATCHES FOR "inam ul haq javed"
Sher
tamaam umr ga.nvaa dii jise bhulaane me.n
vo nisf maazii kaa qissa thaa nisf haal kaa thaa
Inam-ul-Haq Javed
Sher
suKHan ke saare saliiqe zabaa.n me.n rakhtaa hai
nahii.n kaa aks nihaa.n apnii haa.n me.n rakkhaa hai
Inam-ul-Haq Javed
Sher
ho gayaa aa.ina-e-haal bhii gard-aaluuda
god me.n laasha-e-maazi ko liye baiThaa huu.n
Siraj Lakhnavi
Sher
anjaam-e-vafaa ye hai jis ne bhii mohabbat kii
marne kii du.aa maa.ngii jiine kii sazaa paa.ii
Nushur Wahidi
Sher
aalam-e-kaun-o-makaa.n naam hai viiraane kaa
paas vahshat nahii.n ghar duur hai diivaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
hai is anjuman me.n yaksaa.n adam o vajuud meraa
ki jo mai.n yahaa.n na hotaa yahii kaarobaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
mirii nazar me.n hai anjaam is ta.aaqub kaa
jahaa.n bhii dostii jaatii hai dushmanii jaa.e
Ibraheem Hosh
Sher
use KHabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa
vo qurbato.n kii tapish faasle me.n rakhtii hai
Khalid Yusuf
Sher
mujh ko ma.aluum hai anjaam-e-mohabbat kyaa hai
ek din maut kii ummiid pe jiinaa hogaa
Mubarak Azimabadi
Sher
kuchh roz abhii aur hai ye aa.ina-KHaana
kuchh roz abhii aur mai.n hairat me.n rahuu.ngaa
Inam Nadeem
Sher
jii chaahtaa hai aaj 'adam' un ko chhe.Diye
Dar Dar ke pyaar karne me.n ko.ii mazaa nahii.n
Abdul Hamid Adam
Sher
puuchhe hai kyaa vajuud o adam ahl-e-shauq kaa
aap apnii aag ke KHas-o-KHaashaak ho ga.e
Mirza Ghalib
Sher
asl vahdat kii binaa hai adam-e-Gairiyyat
us kaa jab rang jamaa Gair ko apnaa jaanaa
Dattatriya Kaifi
Sher
hai mere dil ko anaa is qadar 'aziiz ki vo
ta.Dapne bhii nahii.n detaa hai aah bhar ke mujhe