SEARCH RESULTS
Showing search results for "inhidaam"
Sher MATCHES FOR "inhidaam"
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
ye vafaa kii saKHt raahe.n ye tumhaare paa.nv naazuk
na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke
Khumar Barabankavi
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa
Balmohan panday
Sher
KHud apne aap se lenaa thaa intiqaam mujhe
mai.n apne haath ke patthar se sa.ngsaar hu.aa
Ibrahim Ashk
Sher
hogaa bahut shadiid tamaazat kaa intiqaam
saa.e se mil ke ro.egii diivaar dekhnaa
Imtiyaz Saghar
Sher
tujh se vafaa na kii to kisii se vafaa na kii
kis tarah intiqaam liyaa apne aap se
Himayat Ali Shayar
Sher
hai kaamyaabii-e-mardaa.n me.n haath aurat kaa
magar tuu ek hii aurat pe inhisaar na kar
Aziz Faisal
Sher
kuchh ehtiyaat parinde bhii rakhnaa bhuul ga.e
kuchh intiqaam bhii aa.ndhii ne badtariin liye
Nusrat Gwaliari
Sher
ye intiqaam hai yaa ehtijaaj hai kyaa hai
ye log dhuup me.n kyuu.n hai.n shajar ke hote hu.e
Haseeb Soz
Sher
ajab junuun hai ye intiqaam kaa jazba
shikast khaa ke vo paanii me.n zahr Daal aayaa
Azhar Inayati
Sher
KHud aag de ke apne nasheman ko aap hii
bijlii se intiqaam liyaa hai kabhii kabhii
Saeed Shahidi
Sher
is baar intizaam to sardii kaa ho gayaa
kyaa haal pe.D kaTte hii bastii kaa ho gayaa
Nomaan Shauque
Sher
ye kis KHataa pe ruuTh ga.ii chashm-e-iltifaat
ye kab kaa intiqaam liyaa mujh Gariib se