SEARCH RESULTS
Showing search results for "inkishaaf-e-shahr-e-naa-maaluum"
Sher MATCHES FOR "inkishaaf-e-shahr-e-naa-maaluum"
Sher
Hasan Abidi
Sher
yuu.n KHush na ho ai shahr-e-nigaaraa.n ke dar o baam
ye vaadi-e-saffaak bhii rahne kii nahii.n hai
Kabir Ajmal
Sher
qaazii kaa na Dar hai na Gam-e-mohtasib-e-shahr
hoshiyaar na ho ko.ii taGaaful ke baraabar
Hatim Ali Mehr
Sher
paa-e-sanam hai aur jabiin-e-haram-navaaz
rasm-o-rivaaj-e-shahr-e-mohabbat na puuchhiye
Akhtar Ali Talhari
Sher
Ahmad Zafar
Sher
butaan-e-shahr ko ye e'tiraaf ho ki na ho
zabaan-e-ishq kii sab guftuguu samajhte hai.n
Ravish Siddiqi
Sher
sadaa-e-shahr fusuu.n hai nazar na dar se haTaa
vo misl-e-sa.ng hu.aa jis ne lauT kar dekhaa
Khalid Hasan Qadiri
Sher
Ali Akbar Natiq
Sher
dastak pe ab gharo.n se ko.ii boltaa nahii.n
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaa.n na thaa
Anees Ashfaq
Sher
na.ii na.ii to mai.n shahr-e-suKHan me.n aa.ii huu.n
abhii to mujh pe na patthar uchhaaliye saahab
Anam Shahzadi
Sher
na dastake.n na sadaa kaun dar pe aayaa hai
faqiir-e-shahr hai yaa shahryaar dekhiyegaa
Ahmad Shahryar
Sher
vahii na ho ki ye sab log saa.ns lene lage.n
amiir-e-shahr ko.ii aur KHauf taarii kar
Idris Babar
Sher
sailaab uma.nD ke shahar kii galiyo.n me.n aa ga.e
lekin Gariib-e-shahr kaa daaman na tar hu.aa
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
ek umr bhar me.n tai ye safar muKHtasar hu.aa
shahr-e-KHamoshaa.n ghar se bahut duur to na thaa
Deepak Purohit
Sher
ab to havaa-e-shahr bhii bilkul tirii tarah
ye chaahtii hai ko.ii diyaa baam par na ho
Anjum Farooq
Sher
luT ke manzil se ko.ii yuu.n to na aayaa hogaa
jis tarah chho.D ke ham shahr-e-adam nikle hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ka.abe ko jaataa kis liye hindostaa.n se mai.n
kis but me.n shahr-e-hind ke shaan-e-KHudaa na thii