SEARCH RESULTS
Showing search results for "intihaa-e-tark-e-mohabbat"
Sher MATCHES FOR "intihaa-e-tark-e-mohabbat"
Sher
majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hu.ii
KHayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar kiyaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke baavajuud
mahsuus kii hai terii zaruurat kabhii kabhii
Nasir Kazmi
Sher
us ke yuu.n tark-e-mohabbat kaa sabab hogaa ko.ii
jii nahii.n ye maantaa vo bevafaa pahle se thaa
Parveen Shakir
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
bevafaa tum hu.e kii tark-e-mohabbat mai.n ne
ishq-baazii miraa sheva thaa mirii zaat na thii
Unknown
Sher
Hasrat Mohani
Sher
jii chaahtaa hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aataa hai ek aisaa bhii lamha visaal me.n
Khan Hasnain Aqib
Sher
kahii.n ye tark-e-mohabbat kii ibtidaa to nahii.n
vo mujh ko yaad kabhii is qadar nahii.n aa.e
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
Shamim Jaipuri
Sher
kii tark-e-mohabbat to liyaa dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhii biimaar pa.Daa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
javaaz-e-tark-e-ta.alluq bajaa sahii lekin
lahuu me.n Duub ga.e kitne saal kis se kahuu.n
Amanat Nadeem
Sher
baad-e-tark-e-aarzuu baiThaa huu.n kaisaa mutma.in
ho ga.ii aasaa.n har ik mushkil ba-aasaanii mirii
Tilok Chand Mahroom
Sher
aasaan nahii.n marhala-e-tark-e-vafaa bhii
muddat hu.ii ham is ko bhulaane me.n lage hai.n
Hafeez Banarasi
Sher
tum ne to hukm-e-tark-e-tamannaa sunaa diyaa
kis dil se aah tark-e-tamannaa kare ko.ii
Asrarul Haq Majaz
Sher
hazaar baar kiyaa azm-e-tark-e-nazzaara
hazaar baar magar dekhnaa pa.Daa mujh ko
Moin Ahsan Jazbi
Sher
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataa.o to sahii
chaahne vaalaa ko.ii ham saa dikhaa.o to sahii