SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaa.ii"
Sher MATCHES FOR "jaa.ii"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
saa.nvle tan pe Gazab dhaj hai basantii shaal kii
jii me.n hai kah baiThiye ab jai kanhayyaa laal kii
Insha Allah Khan Insha
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
dil me.n chaahat hai jo us saa.nvlii matvaalii kii
go musalmaan huu.n bol uThtaa huu.n jai kaalii kii
Unknown
Sher
KHuub gahrii jo lagii choT to ham ne jaanaa
vaqt lagtaa hai kisii dard ko jaate jaate
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
mere KHvaabo.n ke jharoko.n ko sajaate rahiye
na sahii vasl magar yaad to aate rahiye
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
laakh chaahaa ki ho pahchaan ko.ii apnii bhii
kaash ham aap ke hii naam se jaane jaate
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halii sabhii
vaqt kaaTe naa kaTe to kyaa kare.n kis se kahe.n
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
aa.e hai.n sunte ki aisaa vaqt bhii aataa hai jab
ho davaa yaa phir du.aa kuchh kaargar hotaa nahii.n
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
Sher
rakhtaa hai qadam naaz se jis dam tuu zamii.n par
kahte hai.n farishte tujhe jai arsh-e-barii.n par
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e
Obaidullah Aleem
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke