SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaalii"
Sher MATCHES FOR "jaalii"
Sher
tuu aag me.n ai aurat zinda bhii jalii barso.n
saa.nche me.n har ik Gam ke chup-chaap Dhalii barso.n
Habib Jalib
Sher
charaaG ban ke jalii thii mai.n jis kii mahfil me.n
use rulaa to gayaa kam se kam dhu.aa.n meraa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
parvaana gird ghuum ke jab ho chukaa fanaa
ab saarii raat sham.a lagan me.n jalii to kyaa
Sabt Md. Hadi Shams
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
daaG-e-firaaq-e-sohbat-e-shab kii jalii hu.ii
ik sham.a rah ga.ii hai so vo bhii KHamosh hai
Mirza Ghalib
Sher
shaayad jalii hai.n phir kahii.n nazdiik bastiyaa.n
guzre hai.n kuchh parinde idhar se Dare hu.e
Munawwar Rana
Sher
KHayaal tak na kiyaa ahl-e-anjuman ne zaraa
tamaam raat jalii sham.a anjuman ke liye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
is me.n bachcho.n kii jalii laasho.n kii tasviire.n hai.n
dekhnaa haath se aKHbaar na girne paa.e
Munawwar Rana
Sher
Shah Naseer
Sher
zindagii bhii mire naalo.n kii shanaasaa niklii
dil jo TuuTaa to mire ghar me.n ko.ii sham.a jalii
Khalilur Rahman Azmi
Sher
dekh lete hai.n andhere me.n bhii rasta apnaa
sham.a ehsaas ke maanind jalii rahtii hai
Zafar Imam
Sher
Ata Abidi
Sher
vahm-o-gumaa.n ne aas ba.ndhaa.ii tamaam raat
aahaT KHiraam-e-naaz kii aa.ii tamaam raat
Jalee Amrohvi
Sher
kyuu.n tiirgii se is qadar maanuus huu.n 'zafar'
ik sham-e-rah-guzaar ki sahar tak jalii bhii hai
Ahmad Zafar
Sher
ham ne to unhe.n jaamia se naqd KHariidaa
phir kis tarah ja.alii hu.ii.n asnaad hamaarii