SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaam-e-mai"
Sher MATCHES FOR "jaam-e-mai"
Sher
Fani Badayuni
Sher
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam me.n aaftaab ko mahtaab le gayaa
Joshish Azimabadi
Sher
ham jaam-e-mai ke bhii lab-e-tar chuuste nahii.n
chaskaa pa.Daa hu.aa hai tumhaarii zabaan kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
ik jaam-e-mai kii KHaatir palko.n se ye musaafir
jaarob-kash rahaa hai barso.n dar-e-muGaa.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
kyaa kahe.n bazm me.n kuchh aisii jagah baiThe hai.n
jaam-e-mai haadsa ban jaa.e to ham tak pahu.nche
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
vaa.iz kii aa.nkhe.n khul ga.ii.n piite hii saaqiyaa
ye jaam-e-mai thaa yaa ko.ii dariyaa-e-nuur thaa
Yagana Changezi
Sher
terii furqat me.n sharaab-e-aish kaa to.Daa hu.aa
jaam-e-mai dast-e-subuu ke vaaste pho.Daa hu.aa
Muneer Shikohabadi
Sher
to.Dnaa tauba kaa sau baar bhii aasaa.n thaa magar
jaam-e-mai mujh se to ik baar bhii to.Daa na gayaa
Abdul Hai Aarfi
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
taz.iin-e-bazm-e-Gam ke liye ko.ii shai to ho
raushan charaaG-e-dil na sahii jaam-e-mai to ho
Hosh Tirmizi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
ye tirii mast-nigaahii ye faroG-e-mai-o-jaam
aaj saaqii tire rindo.n se adab mushkil hai
Bahauddin Kaleem
Sher
mai-kashii ke bhii kuchh aadaab baratnaa siikho
haath me.n apne agar jaam liyaa hai tum ne
Aale Ahmad Suroor
Sher
bas mohabbat bas mohabbat bas mohabbat jaan-e-man
baaqii sab jazbaat kaa iz.haar kam kar diijiye
Farhat Ehsas
Sher
ham bhii ai jaan-e-man itne to nahii.n naakaara
kabhii kuchh kaam tuu ham ko bhii to farmaayaa kar