SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaane hayat"
Sher MATCHES FOR "jaane hayat"
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
hai 'ajab tarh kii ye kashmakash-e-maut-o-hayaat
na mai.n jiine pe huu.n raazii na vo mar jaane par
Mohammad Baqar Shams
Sher
ghar se jo shaKHs bhii nikle vo sambhal kar nikle
jaane kis mo.D pe kis haath me.n KHanjar nikle
Masooda Hayat
Sher
sirf maan.e thii hayaa band-e-qabaa khulne talak
phir to vo jaan-e-hayaa aisaa khulaa aisaa khulaa
Rasa Chughtai
Sher
mujh se tanhaa.ii me.n gar miliye to diije gaaliyaa.n
aur bazm-e-Gair me.n jaan-e-hayaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
Zaheer Siddiqui
Sher
Unknown
Sher
jaan-e-jaa.n maayuus mat ho haalat-e-baazaar se
shaayad agle saal tak diivaana-pan milne lage
Nomaan Shauque
Sher
tere bin hayaat kii soch bhii gunaah thii
ham qariib-e-jaa.n tiraa hisaar dekhte rahe
Quaiser Khalid
Sher
jaane kyaa suurat-e-haalaat raqam thii us me.n
jo varaq chaak hu.aa us ko dobaaraa dekhe.n
Abul Hasanat Haqqi
Sher
Nawab Shahabadi
Sher
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
Unknown
Sher
mu.D ke dekhaa to hame.n chho.D ke jaatii thii hayaat
ham ne jaanaa thaa ko.ii bojh giraa hai sar se
Zahida Zaidi
Sher
dil kii buniyaad pe ta.amiir kar aivaan-e-hayaat
qasr-e-shaahii to zaraa der me.n Dah jaate hai.n
Figar Unnavi
Sher
paas-e-hayaat kaa KHayaal ham ko bahut buraa lagaa
pas ba-hujuum-e-ma.arka jaan ke be-sipar ga.e
Jaun Eliya
Sher
tumhaare milne kii har aas aaj TuuT ga.ii
tumhii.n bataa.o ki ab kis tarah jiyaa jaa.e