SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaayaa"
Sher MATCHES FOR "jaayaa"
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
dekh kar ham ko na parde me.n tuu chhup jaayaa kar
ham to apne hai.n miyaa.n Gair se sharmaayaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHaamoshii ke naaKHun se chhil jaayaa karte hai.n
ko.ii phir in zaKHmo.n par aavaaze.n maltaa hai
Ameer Imam
Sher
dil le ke un kii bazm me.n jaayaa na jaa.egaa
ye mudda.ii baGal me.n chhupaayaa na jaa.egaa
Dagh Dehlvi
Sher
aaKHirii lamhaat me.n kyaa sochne lagte ho tum
jiit ke nazdiik aa kar haar jaayaa mat karo
Abrar Ahmad Kashif
Sher
kisii ke hone na hone ke baare me.n aksar
akele-pan me.n ba.De dhyaan jaayaa karte hai.n
Jamal Ehsani
Sher
sohbat-e-shaiKH me.n tuu raat ko jaayaa mat kar
vo sikhaa degaa tujhe jaan namaaz-e-ma.akuus
Taban Abdul Hai
Sher
'mus.hafii' har gha.Dii jaayaa na karo tum saahib
ik to aashiq ho aur us kuuche me.n badnaam bhii ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Anwar Shuoor
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n