SEARCH RESULTS
Showing search results for "jab.ha"
Sher MATCHES FOR "jab.ha"
Sher
maqaam 'faiz' ko.ii raah me.n jachaa hii nahii.n
jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ulfat me.n baraabar hai vafaa ho ki jafaa ho
har baat me.n lazzat hai agar dil me.n mazaa ho
Ameer Minai
Sher
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashiimaa.n kaa pashiimaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
Nooh Narvi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jafaa ke zikr pe tum kyuu.n sambhal ke baiTh ga.e
tumhaarii baat nahii.n baat hai zamaane kii
Majrooh Sultanpuri
Sher
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shoKHii
simaT ke aa ga.e sab aap kii adaa.o.n me.n
Kalidas Gupta Raza
Sher
Bashir Badr
Sher
vafaa.o.n ke badle jafaa kar rahe hai.n
mai.n kyaa kar rahaa huu.n vo kyaa kar rahe hai.n
Behzad Lakhnavi
Sher
kaun uThaa.egaa tumhaarii ye jafaa mere ba.ad
yaad aa.egii bahut merii vafaa mere ba.ad
Ameer Minai
Sher
vaaqif hai.n KHuub aap ke tarz-e-jafaa se ham
iz.haar-e-iltifaat kii zahmat na kiijiye
Hasrat Mohani
Sher
sahtaa rahaa jafaa-e-dost kahtaa rahaa adaa-e-dost
mere KHuluus ne miraa jiinaa muhaal kar diyaa