SEARCH RESULTS
Showing search results for "jashn-e-maqtal"
Sher MATCHES FOR "jashn-e-maqtal"
Sher
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huu.n mai.n
phir adliya ne kyuu.n sar-e-maqtal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
Ameer Qazalbash
Sher
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
jaanib-e-maqtal ghasiiTaa jaa rahaa hai
mujh pe ye ilzaam hai mai.n aadmii huu.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
bujhte hu.e charaaG farozaa.n kare.nge ham
tum aa.oge to jashn-e-charaaGaa.n kare.nge ham
Wasif Dehlvi
Sher
yaarab hazaar saal salaamat rahe.n huzuur
ho roz jashn-e-iid yahaa.n jaavedaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahruumii
phir us ke baad ko.ii ibtilaa nahii.n aa.ii
Ada Jafarey
Sher
is jashn-e-charaaGaa.n se to behtar the a.ndhere
in jhuuTe charaaGo.n ko bujhaa kyuu.n nahii.n dete
Iqbal Azeem
Sher
uTho ki jashn-e-KHizaa.n ham manaa.e.n jii bhar ke
bahaar aa.e gulistaa.n me.n kab KHudaa jaane
Zehra Nigaah
Sher
Qabil Ajmeri
Sher
hai tiirgii se jang muqaabil aur apne saath
jugnuu kii saf hai jashn-e-charaaGaa.n nahii.n to kyaa
Amit Goswami
Sher
vo jis ko dekhne ik bhii.D umDii thii sar-e-maqtal
usii kii diid ko ham bhii sutuun-e-daar tak aa.e
Zubair Rizvi
Sher
Ehsan Danish
Sher
haar ke bhii nahii.n miTii dil se KHalish hayaat kii
kitne nizaam miT ga.e jashn-e-zafar ke baad bhii
Ali Jawad Zaidi
Sher
aa.nkho.n me.n liye jalva-e-naira.ng-e-tamaashaa
aa.ii hai KHizaa.n jashn-e-bahaaraa.n se guzar ke