SEARCH RESULTS
Showing search results for "jeb"
Sher MATCHES FOR "jeb"
Sher
ab tak hamaarii umr kaa bachpan nahii.n gayaa
ghar se chale the jeb ke paise giraa diye
Nashtar Khaanqahi
Sher
jeb KHaalii hai 'adam' mai qarz par miltii nahii.n
ek do botal pe diivaa.n bechne vaalaa huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
ab us Gariib chor ko bhejoge jail kyuu.n
Gurbat kii jis ne kaaT lii paadaash jeb me.n
Amir Ameer
Sher
ye kyaa ki roz pahu.nch jaataa huu.n mai.n ghar apne
ab apnii jeb me.n apnaa pata na rakkhaa jaa.e
Bharat Bhushan Pant
Sher
hamaarii jeb me.n KHvaabo.n kii rezgaarii hai
so len-den hamaaraa dukaa.n se baahar hai
Hasan Abbas Raza
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
baazaar me.n ik chiiz nahi.n kaam kii mere
ye shahr mirii jeb kaa rakhtaa hai bharam KHuub
Ajmal Siddiqui
Sher
kafan kii jeb bhii KHaalii nahii.n hai
ye bad-halii hai KHush-haalii nahii.n hai
Abdurrahman momin
Sher
Jauhar Siwani
Sher
aaKHir mile hai.n haath kisii kaam ke liye
phaa.De agar na jeb to phir kyaa kare ko.ii
Zaheer Dehlvi
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
das baara Gazliyaat jo rakhtaa hai jeb me.n
bazm-e-suKHan me.n hai vo nishaanii vabaal kii
Aziz Faisal
Sher
maujib-e-ra.ng-e-chaman KHuun-e-shahiidaa.n niklaa
maut kii jeb se bhii ziist kaa saamaa.n niklaa
Basir Sultan Kazmi
Sher
ne haath miraa haath hai ne jeb mirii jeb
kyaa dast o garebaa.n ko kahuu.n dast o garebaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
daaman-o-jeb-o-garebaa.n kaa nahii.n ko.ii malaal
Gam ye hai dast-e-junuu.n kal ke liye kaam nahii.n
Manzar Lakhnavi
Sher
kyaa sun chuke hai.n aamad-e-fasl-e-bahaar haath
jaate hai.n suu-e-jeb jo be-iKHtiyaar haath