SEARCH RESULTS
Showing search results for "jeb-e-KHayaal"
Sher MATCHES FOR "jeb-e-KHayaal"
Sher
vo de rahaa thaa talab se sivaa sabhii ko 'KHayaal'
so mai.n ne daaman-e-dil aur kuchh kushaada kiyaa
Ahmad Khayal
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
daaman-o-jeb-o-garebaa.n kaa nahii.n ko.ii malaal
Gam ye hai dast-e-junuu.n kal ke liye kaam nahii.n
Manzar Lakhnavi
Sher
rafuu jeb-e-majnuu.n hu.aa kab ai naaseh
tuu mar jaa.egaa us ke siite hii siite
Mirza Zahirddin Azfari
Sher
munjamid ho zindagii me.n jab kabhii shahr-e-KHayaal
phir charaaG-e-dil se us ko jagmagaanaa chaahiye
Baharunnisa Bahar
Sher
nikal gayaa mirii aa.nkho.n se misl-e-KHvaa-o-KHayaal
guzar gayaa dil-e-raushan se vo nazar ban kar
Mazaq Badayuni
Sher
mai.n tujh ko dast-e-haqiiqat se chhuu ke dekhuu.ngaa
tuu ek paikar-e-KHvaab-o-KHayaal hai jaanaa.n
Riasath Ali Asrar
Sher
kaunain-e-ain-e-ilm me.n hai jalva-gaah-e-husn
jeb-e-KHirad se ainak-e-irfaa.n nikaaliye
Sahir Dehlavi
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n pe paa.nv ba.Dhaa.uu.n kidhar qadam
raKHsh-e-KHayaal aaj hai be-iKHtiyaar phir
Akram Naqqash
Sher
mauzuu'-e-guftuguu to hai jinsii jamaaliyaat
aur markaz-e-KHayaal tumhaaraa hii jism hai
Zubair Ahmad Saani
Sher
hai aadmii bajaa.e KHud ik mahshar-e-KHayaal
ham anjuman samajhte hai.n KHalvat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Sher
yaa rab hame.n to KHvaab me.n bhii mat dikhaa.iyo
ye mahshar-e-KHayaal ki duniyaa kahe.n jise