SEARCH RESULTS
Showing search results for "jho.nko.n"
Sher MATCHES FOR "jho.nko.n"
Sher
sard jho.nko.n se bha.Dakte hai.n badan me.n sho.ale
jaan le legii ye barsaat qariib aa jaa.o
Sahir Ludhianvi
Sher
uThaa diyaa to hai la.ngar havaa ke jho.nko.n me.n
kidhar safiina hai saahil kahaa.n nahii.n ma.aluum
Jaleel Manikpuri
Sher
chale to paa.nv ke niiche kuchal ga.ii ko.ii shai
nashe kii jho.nk me.n dekhaa nahii.n ki duniyaa hai
Shahab Jafri
Sher
hame.n to KHair bikharnaa hii thaa kabhii na kabhii
havaa-e-taaza kaa jho.nkaa bahaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
Abbas Tabish
Sher
andaaz huu-ba-huu tirii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jho.nkaa havaa kaa thaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
is qadar KHaalii hu.aa baiThaa huu.n apnii zaat me.n
ko.ii jho.nkaa aa.egaa jaane kidhar le jaa.egaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
mausam 'ajiib rahtaa hai dil ke dayaar kaa
aage hai.n luu ke jho.nke bhii ThanDii havaa ke ba.ad
Qaisar Shameem
Sher
nik.hat vahii suruur vahii dil-kashii vahii
aamad ye aap kii hai ki jho.nkaa bahaar kaa
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
darvaaza band dekh ke mere makaan kaa
jho.nkaa havaa kaa khi.Dkii ke parde hilaa gayaa
Adil Mansuri
Sher
jho.nke nasiim-e-KHuld ke hone lage nisaar
jannat ko is gulaab kaa thaa kab se intizaar
Khalid Meenai
Sher
ek jho.nkaa tire pahluu kaa mahaktii hu.ii yaad
ek lamha tirii dildaarii kaa kyaa kyaa na banaa