SEARCH RESULTS
Showing search results for "jholaa"
Sher MATCHES FOR "jholaa"
Sher
Mumtaz Aziz Nazan
Sher
so ga.e hai.n phuul bhii Tahnii kaa jhuulaa jhuulte
loriyaa.n ko.ii sunaa.e shaam pe.Do.n ke tale
Zahid Azeem Zahid
Sher
Ezaz Ahmad Azar
Sher
ye baadshaah nahii.n hai faqiir hai suuraj
hamesha raat kii jholii se din nikaaltaa hai
Anjum Barabankvi
Sher
haath KHaalii na the jab ghar se ravaana hu.aa mai.n
sab ne jholii me.n mirii apnii zaruurat rakh dii
Aziz Nabeel
Sher
abhii to mai.n ne faqat baarisho.n ko jhelaa hai
ab is ke baa'd samundar bhii dekhnaa hai mujhe
Arif Imam
Sher
ye chaa.nd hii tirii jholii me.n aa pa.De shaayad
zamii.n pe baiTh kamand aasmaa.n pe Daale jaa
Shahzad Ahmad
Sher
sadiyo.n kii raakh vaqt kii jholii me.n Daal kar
mai.n jaa rahii huu.n ab tuu miraa intizaar kar
Farhat Zahid
Sher
merii jholii me.n muravvat ke sivaa kuchh bhii na thaa
so use bhii yaar logo.n ne mire luuTaa bahut
Zia Farooqui
Sher
had se ba.Dhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hai.n vo kuchh jaante nahii.n
Khumar Barabankavi
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
charaag chaa.nd shafaq shaam phuul jhiil sabaa
churaa.ii.n sab ne hii kuchh kuchh shabaahate.n terii
Anjum Irfani
Sher
aa.nkho.n se vo kabhii mirii ojhal nahii.n rahaa
Gaafil mai.n us kii yaad se ik pal nahii.n rahaa