SEARCH RESULTS
Showing search results for "jins"
Sher MATCHES FOR "jins"
Sher
bhare baazaar me.n baiThaa huu.n liye jins-e-vajuud
shart ye hai ki mirii KHaak kii qiimat dii jaa.e
Salim Saleem
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
misr me.n husn kii vo garmi-e-baazaar kahaa.n
jins to hai pe zuleKHaa saa KHariidaar kahaa.n
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
baazaar jahaa.n me.n ko.ii KHvaahaa.n nahii.n teraa
le jaa.e.n kahaa.n ab tujhe ai jins-e-vafaa ham
Rasikh Azimabadi
Sher
Saail Dehlvi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
'anvar' ne badle jaan ke lii jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye saudaa giraa.n na thaa
Anwar Dehlvi
Sher
ham hai.n vo jins ki kahte hai.n jise Gam 'jur.at'
hai mohabbat ke sivaa kaun KHariidaar apnaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
qiimat-e-jins-e-vafaa niim-nigaahii tauba
aisii baate.n na kare.n aap ki saudaa na bane
Safdar Mirzapuri
Sher
Aziz Qaisi
Sher
jins-e-hunar mazaaq-e-KHariidaar dekh kar
KHud be-niyaaz chashm-e-KHariidaar ho ga.ii
Tajwar Najibabadi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Yasir Tahsin
Sher
vahaa.n har chiiz thii ik jins-e-vafaa thii naayaab
KHaak Daal aayaa tire shahr ke baazaaro.n par