SEARCH RESULTS
Showing search results for "julte"
Sher MATCHES FOR "julte"
Sher
jalte hai.n ik charaaG kii lau se ka.ii charaaG
duniyaa tire KHayaal se raushan hu.ii to hai
Shahzad Ahmad
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
shahr ke a.ndhere ko ik charaaG kaafii hai
sau charaaG jalte hai.n ik charaaG jalne se
Ehtisham Akhtar
Sher
raushnii Dhuu.nD ke laanaa ko.ii mushkil to na thaa
lekin is dau.D me.n har shaKHs ko jalte dekhaa
Azm Bahzad
Sher
tire mahal me.n hazaaro.n charaaG jalte hai.n
ye meraa ghar hai yahaa.n dil ke daaG jalte hai.n
Asghar Velori
Sher
Saghar Azmi
Sher
Saleem Kausar
Sher
ye jo ham log hai.n ehsaas me.n jalte hu.e log
ham zamii.n-zaad na hote to sitaare hote
Wahid Ejaz Meer
Sher
charaaG jalte hai.n baad-e-sabaa mahaktii hai
tumhaare husn-e-takallum se kyaa nahii.n hotaa
Hamid mahboob
Sher
jalte diyo.n me.n jalte gharo.n jaisii zau kahaa.n
sarkaar raushnii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Sher
ab kisii raah pe jalte nahii.n chaahat ke charaag
tuu mirii aaKHirii manzil hai miraa saath na chho.D