SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaTne"
Sher MATCHES FOR "kaTne"
Sher
pe.D ke kaaTne vaalo.n ko ye maaluum to thaa
jism jal jaa.e.nge jab sar pe na saaya hogaa
Kaifi Azmi
Sher
vaqt KHush KHush kaaTne kaa mashvara dete hu.e
ro pa.Daa vo aap mujh ko hausla dete hu.e
Riaz Majeed
Sher
pahaa.D kaaTne vaale zamii.n se haar ga.e
isii zamiin me.n dariyaa samaa.e hai.n kyaa kyaa
Yagana Changezi
Sher
din kaTaa fariyaad se aur raat zaarii se kaTii
umr kaTne ko kaTii par kitnii KHvaarii se kaTii
Dulhan Begum
Sher
hijr kii shab naala-e-dil vo sadaa dene lage
sun.ne vaale raat kaTne kii du.aa dene lage
Saqib Lakhnavi
Sher
aate hai.n jaise jaise bichha.Dne ke din qariib
lagtaa hai jaise rail se kaTne lagaa huu.n mai.n
Munawwar Rana
Sher
aapas kii guftuguu me.n bhii kaTne lagii zabaa.n
ab dosto.n se tark-e-mulaaqaat chaahiye
Jafar Tahir
Sher
kuchh aise kam-nazar bhii musaafir hame.n mile
jo saaya Dhuu.nDte hai.n shajar kaaTne ke ba.ad
zafar iqbal zafar
Sher
utrii hu.ii hai dhuup badan ke hisaar me.n
qurbat ke faaslo.n kaa safar kaaTne ke ba.ad
zafar iqbal zafar
Sher
us vaqt se bachaa mujhe ai rabb-e-kaa.inaat
hubb-e-vatan ho dil me.n vatan kaaTne lage
Badr Muneer
Sher
ham yahaa.n kaaTne aa.e hai.n shab-e-furqat-e-yaar
ham zaraa bhii hai.n agar KHush to Ganiimat jaano
Bhaskar Shukla
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai