SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaashif-e-hayaat-o-mamaat"
Sher MATCHES FOR "kaashif-e-hayaat-o-mamaat"
Sher
bahse.n chhi.Dii hu.ii hai.n hayaat o mamaat kii
sau baat ban ga.ii hai 'firaaq' ek baat kii
Firaq Gorakhpuri
Sher
subuu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashaan-e-hayaat
shu.aa-e-qahr-e-tabassum charaaG-e-diida-e-nam
Izhaar Malihabadi
Sher
'qaa.em' hayaat-o-marg-e-buz-o-gaav me.n hai.n naf.a
is mardumii ke shor pe kis kaam kaa huu.n mai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
daam-e-Gam-e-hayaat me.n uljhaa ga.ii umiid
ham ye samajh rahe the ki ehsaan kar ga.ii
Tilok Chand Mahroom
Sher
mar ke TuuTaa hai kahii.n silsila-e-qaid-e-hayaat
magar itnaa hai ki zanjiir badal jaatii hai
Fani Badayuni
Sher
roz-o-shab-e-hayaat ke KHaano.n me.n baa.nT kar
qisto.n me.n KHud-kushii ke vasaa.il hu.e hai.n log
Mahboob Anwar
Sher
kyaa usii kaa naam hai ra.anaa.ii-e-bazm-e-hayaat
ta.ng kamra sard bistar aur tanhaa aadmii
Chandrabhan Khayal
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
allaah allaah ye ha.ngaama-e-paikaar-e-hayaat
ab vo aavaaz bhii dete hai.n to sunte nahii.n ham
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
qaid-e-Gam-e-hayaat bhii kyaa chiiz hai 'fanaa'
raah-e-faraar mil na sakii umr-bhar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
bol kis mo.D pe huu.n kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam me.n kahaa.n chho.D diyaa hai mujh ko
Mubarak Shamim
Sher
Hayat Lakhnavi
Sher
fikr-e-fardaa Gam-e-imroz Gam-e-maut-o-hayaat
aadmii kyaa hu.aa majmuu.a-e-aalaam hu.aa
Mehr Nizami Merathi
Sher
kis se shikva kare.n viiraanii-e-hastii kaa 'hayaat'
ham ne KHud apnii tamannaa.o.n ko jiine na diyaa
Masooda Hayat
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
be-rabtii-e-hayaat kaa manzar bhii dekh le
tho.Daa saa apnii zaat ke baahar bhii dekh le