SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaavish-e-gaalib"
Sher MATCHES FOR "kaavish-e-gaalib"
Sher
jo ye kahe ki reKHta kyuu.nke ho rashk-e-faarsii
gufta-e-'Gaalib' ek baar pa.Dh ke use sunaa ki yuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'Gaalib'
tujhe ham valii samajhte jo na baada-KHvaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
aa.e hai bekasii-e-ishq pe ronaa 'Gaalib'
kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Sher
'Gaalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayya-e-tuufaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
'Gaalib'-e-KHasta ke baGair kaun se kaam band hai.n
ro.iye zaar zaar kyaa kiijiye haa.e haa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
'Gaalib' apnaa ye aqiida hai ba-qaul-e-'naasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'miir' nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
us anjuman-e-naaz kii kyaa baat hai 'Gaalib'
ham bhii ga.e vaa.n aur tirii taqdiir ko ro aa.e
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
adaa-e-KHaas se 'Gaalib' hu.aa hai nukta-saraa
salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
ganjiina-e-ma.anii kaa tilism us ko samajhiye
jo lafz ki 'Gaalib' mire ash.aar me.n aave