SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaayer"
Sher MATCHES FOR "kaayer"
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
ko.ii din aage bhii zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle kii masjid sharaab-KHaana thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
duniyaa me.n ham rahe to ka.ii din pa is tarah
dushman ke ghar me.n jaise ko.ii mehmaa.n rahe
Qayem Chaandpuri
Sher
zaalim tuu merii saada-dilii par to rahm kar
ruuThaa thaa tujh se aap hii aur aap man gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
dil paa ke us kii zulf me.n aaraam rah gayaa
darvesh jis jagah ki hu.ii shaam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Khawer Eijaz
Sher
Tuk.De ka.ii ik dil ke mai.n aapas me.n siye hai.n
phir sub.h talak rone ke asbaab kiye hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
TuuTaa jo ka.aba kaun sii ye jaa-e-Gam hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahii.n ki banaayaa na jaa.egaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Gair se milnaa tumhaaraa sun ke go ham chup rahe
par sunaa hogaa ki tum ko ik jahaa.n ne kyaa kahaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
chaahe.n hai.n ye ham bhii ki rahe paak mohabbat
par jis me.n ye duurii ho vo kyaa KHaak mohabbat
Qayem Chaandpuri
Sher
kis baat par tirii mai.n karuu.n e'tibaar haa.e
iqraar yak taraf hai to inkaar yak taraf
Qayem Chaandpuri
Sher
kab mai.n kahtaa huu.n ki teraa mai.n gunahgaar na thaa
lekin itnii to uquubat kaa sazaa-vaar na thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
'qaa.em' mai.n iKHtiyaar kiyaa shaa.irii kaa aib
pahu.nchaa na ko.ii shaKHs jab apne hunar talak
Qayem Chaandpuri
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
aage mire na Gair se go tum ne baat kii
sarkaar kii nazar ko to pahchaantaa huu.n mai.n