SEARCH RESULTS
Showing search results for "kabeer"
Sher MATCHES FOR "kabeer"
Sher
tabaah kar ga.ii pakke makaan kii KHvaahish
mai.n apne gaa.nv ke kachche makaan se bhii gayaa
Shahid Kabir
Sher
be-sabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham KHafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
kuchh ta'alluq bhii nahii.n rasm-e-jahaa.n se aage
us se rishta bhii rahaa vahm o gumaa.n se aage
Kabir Ajmal
Sher
teraa kuucha tiraa dar terii galii kaafii hai
be-Thikaano.n ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaa.em
aap jab hai.n to zamaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
zamiir o zehn me.n ik sard ja.ng jaarii hai
kise shikast duu.n aur kis pe fat.h paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
girne do tum mujhe miraa saaGar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo mai.n nashe me.n huu.n
Shahid Kabir
Sher
kuchh to ho raat kii sarhad me.n utarne kii sazaa
garm suuraj ko samundar me.n Duboyaa jaa.e