SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaf-e-gul"
Sher MATCHES FOR "kaf-e-gul"
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
dast-e-pur-KHuu.n ko kaf-e-dast-e-nigaaraa.n samjhe
qatl-gah thii jise ham mahfil-e-yaaraa.n samjhe
Majrooh Sultanpuri
Sher
mujhe daa.ero.n ke hujuum me.n kahii.n bhej de
mirii vus.ato.n ko davaam kar kaf-e-kuuza-gar
Mumtaz Athar
Sher
zindagii mai.n bhii chaluu.ngaa tire piichhe piichhe
tuu mire dost kaa naqsh-e-kaf-e-paa ho jaanaa
Qateel Shifai
Sher
aa.ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
manzile.n ishq kii aasaa.n hu.ii.n chalte chalte
aur chamkaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa aaKHir-e-shab
Makhdoom Mohiuddin
Sher
jab tak kisii kaa naqsh-e-kaf-e-paa hame.n milaa
ham se kuchh aur duur zamaana nikal gayaa
Azizunnisa Naz
Sher
Akhtar Saeed Khan
Sher
yaa dil hai miraa yaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa hai
gul hai ki ik aa.iina sar-e-raah pa.Daa hai
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
'barq' uftaada vo huu.n saltanat-e-aalam me.n
taaj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
ba-ra.ng-e-buu-e-gul us baaG ke ham aashnaa hote
ki hamraah-e-sabaa Tuk sair karte phir havaa hote
Meer Taqi Meer
Sher
Vahshi Kanpuri
Sher
haath dono.n kaf-e-afsos kii suurat likkhe
kii jo naqqaash ne tasviir hamaarii tayyaar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
haath milvaate ho tarsaa.e gilaurii ke liye
kaf-e-afsos na mal jaa.e kahii.n paa.nv me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
husn tanhaa nahii.n haqdaar vafaa kaa 'mohsin'
ishq ne bhii kaf-e-afsos male hai.n barso.n
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
Sher
kal qaafila-e-nik.hat-e-gul hogaa ravaana
mat chho.Diyo tuu saath nasiim-e-saharii kaa