SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaifiyat"
Sher MATCHES FOR "kaifiyat"
Sher
kaifiyyat-e-chashm us kii mujhe yaad hai 'saudaa'
saaGar ko mire haath se liijo ki chalaa mai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ye kaifiyat hai merii jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne KHud ko bhii paayaa nahii.n bahut din se
Azhar Iqbal
Sher
kaifiyat mahfil-e-KHuubaa.n kii na us bin puuchho
us ko dekhuu.n na to phir de mujhe dikhlaa.ii kyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tumhaarii aa.nkh me.n kaifiyyat-e-KHumaar to hai
sharaab kaa na sahii nii.nd kaa asar hii sahii
Shahzad Ahmad
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
kahaa.n qaraar hai kahne ko dil qaraar me.n hai
jo thii KHizaa.n me.n vahii kaifiyat bahaar me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
Fazil Jamili
Sher
tum ne kis kaifiyat me.n muKHaatab kiyaa
kaif detaa rahaa lafz-e-'tuu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Shah Naseer
Sher
Kaif Ikrami
Sher
kaifiyat hii ko.ii paanii ne badal lii ho kahii.n
ham jise dasht samajhte hai.n vo dariyaa hii na ho
Zafar Iqbal
Sher
aatish-e-mast jo mil jaa.e to puuchhuu.n us se
tuu ne kaifiyyat uThaa.ii hai KHaraabaat me.n kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
vasl ko maa.n ke taraste hai.n mire bachche bhii
kaifiyat hijr kii mujh par hii nahii.n taarii hai
Sabir Aafaque
Sher
junuu.n kii KHair ho tujh ko 'asar' milaa sab kuchh
ye kaifiyat bhii zaruurii thii aagahii ke liye