SEARCH RESULTS
Showing search results for "kam-nasab"
Sher MATCHES FOR "kam-nasab"
Sher
tumhaare hijr ko vo kam-nasiib kyaa samjhe
jise KHabar hii nahii.n kis qadar hasii.n ho tum
Nitin Nayab
Sher
hu.aa yaqii.n ki zamii.n par hai aaj chaa.nd-gahan
vo maah chehre pe jab Daal kar naqaab aayaa
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Is.haq Zafar
Sher
nazzaare ne bhii kaam kiyaa vaa.n naqaab kaa
mastii se har nigah tire ruKH par bikhar ga.ii
Mirza Ghalib
Sher
aisaa kyaa 'ishq jo rusvaa.ii 'ataa kar na sake
aisii kis kaam kii rusvaa.ii ki shohrat bhii nahii.n
Nitin Nayab
Sher
kab tak chhupaa.oge ruKH-e-zebaa naqaab me.n
barq-e-jamaal rah nahii.n saktaa hijaab me.n
Unknown
Sher
kausar kaa jaam us ko ilaahii nasiib ho
ko.ii sharaab merii lahad par chhi.Dak gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
zahe-nasiib ki duniyaa ne tere Gam ne mujhe
masarrato.n kaa talabgaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
suuraj se us kaa naam-o-nasab puuchhtaa thaa mai.n
utraa nahii.n hai raat kaa nashsha abhii talak
Bharat Bhushan Pant
Sher
musaalahat kaa pa.Dhaa hai jab se nisaab mai.n ne
saliiqa duniyaa me.n zinda rahne kaa aa gayaa hai
Imdad Hamdani
Sher
likh kar jo meraa naam zamii.n par miTaa diyaa
un kaa thaa khel KHaak me.n mujh ko milaa diyaa
Navab Akhtar Mahal akhtar
Sher
mai.n nahii.n maantaa kaaGaz pe likhaa shajra-e-nasab
baat karne se qabiile kaa pata chaltaa hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
shaa.erii hai sarmaayaa KHush-nasiib logo.n kaa
baa.ns kii har ik Tahnii baa.nsurii nahii.n hotii
Hastimal Hasti
Sher
safar kii shaam sitaara nasiib kaa jaagaa
phir aasmaan-e-mohabbat pe ik hilaal khilaa
Sameena Raja
Sher
dekho na zaat paat na naam-o-nasab 'shifaa'
par dost jab banaa.o to kirdaar dekh kar