SEARCH RESULTS
Showing search results for "kamaa"
Sher MATCHES FOR "kamaa"
Sher
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n KHayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-KHaama navaa-e-sarosh hai
Mirza Ghalib
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
khii.nch detaa mai.n zamaane pe mohabbat ke nuquush
mere qabze me.n agar KHaama-e-shahpar hotaa
Haidar Ali Jafri
Sher
KHaama-e-qudrat ne dil kaa naam ye kah kar likhaa
har jagah is lafz ke ma.anii badalte jaa.e.nge
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
Gam aur KHushii me.n farq na mahsuus ho jahaa.n
mai.n dil ko us maqaam pe laataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
Gairo.n se kahaa tum ne Gairo.n se sunaa tum ne
kuchh ham se kahaa hotaa kuchh ham se sunaa hotaa