SEARCH RESULTS
Showing search results for "kapat"
Sher MATCHES FOR "kapat"
Sher
chhal kapaT se ek raavan kii tarah
har kisii ke dil ko ta.Dpaatii to hai
Narendra Mohan Meharban
Sher
jo de sakaa na pahaa.Do.n ko barf kii chaadar
vo merii baa.njh zamii.n ko kapaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
itnaa tarsaayaa gayaa mujh ko mohabbat se ki ab
ik mohabbat pe qanaa.at nahii.n kar saktaa mai.n
Anjum Saleemi
Sher
tere qaamat se bhii lipTii hai amar-bel ko.ii
merii chaahat ko bhii duniyaa kii nazar khaa ga.ii dost
Ahmad Faraz
Sher
qaamat tirii daliil qayaamat kii ho ga.ii
kaam aaftaab-e-hashr kaa ruKHsaar ne kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
jab saraabo.n pe qanaa.at kaa saliiqa aayaa
ret ko haath lagaayaa to vahii.n paanii thii
Muzaffar Hanfi
Sher
chashm-e-bad-duur ajab KHush-qad-o-qaamat hogaa
abhii fitna hai ko.ii din me.n qayaamat hogaa
Santokh Rai Betab
Sher
siikhaa na du.aa.o.n me.n qanaa.at kaa saliiqa
vo maa.ng rahaa huu.n jo muqaddar me.n nahii.n hai
Asim Wasti
Sher
sharm aa.ii hai mujhe apne qad-o-qaamat par
maa.n ke jab ho.nTh na paho.nche mirii peshaanii tak
Ghulam Husain Sajid
Sher
Danish Naqwi
Sher
usii kii chashm-e-kushaada me.n rang bante hai.n
usii pe KHatm hai qaamat bhii mah-jabiinii bhii
Aziz Nabeel
Sher
aa.ii jo ruuh-e-lailaa ziyaarat ko qais kii
dii ishq ne qanaat ba-gard-e-mazaar baa.ndh
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye bhii kyaa baat ki mai.n terii anaa kii KHaatir
terii qaamat se ziyaada tiraa saayaa chaahuu.n
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
dekhaa hai ye parchhaa.ii.n kii duniyaa me.n ki aksar
apne qad-o-qaamat se bhii kuchh log ba.De hai.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
khultaa hai har ik shaKHs ke qaamat ke baraabar
ye dil hai ko.ii kaaTh kaa darvaaza nahii.n hai
Shahnawaz Farooqi
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
qaamat hii likhaa ham ne sadaa jaa-e-qayaamat
qaamat ne bhulaayaa tire imlaa-e-qayaamat