SEARCH RESULTS
Showing search results for "karamat ali karamat"
Sher MATCHES FOR "karamat ali karamat"
Sher
ko.ii zamiin hai to ko.ii aasmaan hai
har shaKHs apnii zaat me.n ik daastaan hai
Karamat Ali Karamat
Sher
haathii ke ka.ii daa.nt chabaane ke liye hai.n
kuchh daa.nt magar sirf dikhaane ke liye hai.n
Karamat Ali Karamat
Sher
ye apne hii kirdaar kaa hai natiija
jo rab kii taraf se ye ham par Gazab hai
Karamat Ali Karamat
Sher
hamesha aag ke dariyaa me.n ishq kyuu.n utre
kabhii to husn ko Garq-e-azaab honaa thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
manzil pe bhii pahu.nch ke mayassar nahii.n sakuu.n
majbuur is qadar hai.n shu.uur-e-safar se ham
Karamat Ali Karamat
Sher
mai.n lafz lafz me.n tujh ko talaash kartaa huu.n
savaal me.n nahii.n aataa na aa javaab me.n aa
Karamat Ali Karamat
Sher
vo merii fahm kaa letaa hai imtihaa.n shaayad
ki har savaal se pahle javaab maa.nge hai
Karamat Ali Karamat
Sher
patvaar gir ga.ii thii samundar kii god me.n
dil kaa safiina phir bhii lahuu ke safar me.n thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
achchhaa hai yaa KHaraab nahii.n is se vaasta
phuuTaa hu.aa ye meraa muqaddar mujhe aziiz
Karamat Ali Karamat
Sher
vo kaun thaa jo mirii zindagii ke daftar se
huruuf le gayaa KHaalii kitaab chho.D gayaa
Karamat Ali Karamat
Sher
sukuun vasl me.n itnaa nasiib ho ki na ho
jis iztiraab se mai.n intizaar kartaa huu.n
Karamat Ali Karamat
Sher
TuuT kar kitno.n ko majruuh ye kar saktaa hai
sa.ng tuu ne abhii dekhaa nahii.n shiishe kaa jigar
Karamat Ali Karamat
Sher
tum kaam apnaa kal ke liye chho.Dte ho kyo.n
dekhaa hai kis ne kal ko jo karnaa hai kar lo aaj
Karamat Ali Karamat
Sher
Gam-e-firaaq ko siine se lag ke sone do
shab-e-taviil kii hogii sahar kabhii na kabhii
Karamat Ali Karamat
Sher
haath aa.e karaamat ko kyaa aalam-e-faanii se
aaya hai bashar tanhaa jaa.egaa bashar KHaalii