SEARCH RESULTS
Showing search results for "karb"
Sher MATCHES FOR "karb"
Sher
aagahii karb vafaa sabr tamannaa ehsaas
mere hii siine me.n utre hai.n ye KHanjar saare
Bashir Farooqi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
badan ke karb ko vo bhii samajh na paa.egaa
mai.n dil me.n ro.uu.ngii aa.nkho.n me.n muskuraa.uu.ngii
Parveen Shakir
Sher
tujh ko KHabar nahii.n ki tiraa karb dekh kar
akasr tiraa mazaaq u.Daataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Sher
Allama Iqbal
Sher
ik karb-e-musalsal kii sazaa de.n to kise de.n
maqtal me.n hai.n jiine kii du.aa de.n to kise de.n
Aanis Moin
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
kaun kitnaa zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegii faisla ho jaa.egaa
Khwaja Sajid
Sher
Naseer Turabi
Sher
meraa karb mirii tanhaa.ii kii ziinat
mai.n chehro.n ke jangal kaa sannaaTaa huu.n
Ambar Bahraichi
Sher
ab bhii aatii hai tirii yaad pa is karb ke saath
TuuTtii nii.nd me.n jaise ko.ii sapnaa dekhaa
Akhtar Imam Rizvi
Sher
ik karb kaa mausam hai jo daa.im hai abhii tak
ik hijr kaa qissa ki mukammal nahii.n hotaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
na puuchhiye ki vo kis karb se guzarte hai.n
jo aagahii ke sabab aish-e-bandagii se ga.e
Irfan Sattar
Sher
baaqii abhii hai karb kaa ik aur marhala
mahsuus jo kiyaa hai use sochnaa bhii hai
Anwar Alam Siddqui
Sher
'mus.hafii' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahii.n
sai.nka.Do.n basra-o-baGdaad me.n mar jaate hai.n