SEARCH RESULTS
Showing search results for "kariim"
Sher MATCHES FOR "kariim"
Sher
mire gunaah ziyaada hai.n yaa tirii rahmat
kariim tuu hii bataa de hisaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
Bashir Badr
Sher
mahshar me.n ik savaal kiyaa thaa kariim ne
mujh se vahaa.n bhii aap kii taariif ho ga.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
kariim jo tujhe denaa hai be-talab de de
faqiir huu.n pa nahii.n aadat-e-savaal mujhe
Meer Anees
Sher
vo hai ba.Daa kariim rahiim us kii zaat hai
naahaq gunaahgaaro.n ko fikr-e-najaat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ahl-e-hunar ke dil me.n dha.Dakte hai.n sab ke dil
saare jahaa.n kaa dard hamaare jigar me.n hai
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
mire kariim inaayat se terii kyaa na milaa
gunaah kar ke bhii be-muzad aab-o-daana milaa
Agha Shayar Qazalbash
Sher
tamaam umr kamii kii kabhii na paanii ne
ajab kariim kii rahmat hai diida-e-tar par
Taashshuq Lakhnavi
Sher
naa-umiid ahl-e-KHaraabaat nahii.n rahmat se
baKHsh degaa vo kariim apne gunaahgaaro.n ko
Mardan Ali Khan Rana
Sher
hamaare un ke ta'alluq kaa ab ye aalam hai
ki dostii kaa hai kyaa zikr dushmanii bhii nahii.n
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
kariim jo mujhe detaa hai baa.nT khaataa huu.n
mire tariiq me.n tanhaa-KHorii halaal nahii.n
Rind Lakhnavi
Sher
Gam-e-dauraa.n me.n kahaa.n baat Gam-e-jaanaa.n kii
nazm hai apnii jagah KHuub magar haa.e Gazal
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
naqaab un ne ruKH se uThaa.ii to lekin
hijaabaat kuchh darmiyaa.n aur bhii hai.n
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
fareb-e-karam ik to un kaa hai is par
sitam merii KHush-fahmiyaa.n aur bhii hai.n
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
kahe.n aduu na kahe.n mujh ko dekh kar muhtaaj
ye un ke bande hai.n jin ko kariim kahte hai.n