SEARCH RESULTS
Showing search results for "karne"
Sher MATCHES FOR "karne"
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
ab vahii karne lage diidaar se aage kii baat
jo kabhii kahte the bas diidaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitnii aurato.n kii bad-du.aa.e.n saath hai.n
Bashir Badr
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
us ko bhii yaad karne kii fursat na thii mujhe
masruuf thaa mai.n kuchh bhii na karne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
vo ham se KHafaa hai.n ham un se KHafaa hai.n
magar baat karne ko jii chaahtaa hai
Shakeel Badayuni
Sher
mere alaava use KHud se bhii mohabbat hai
aur aisaa karne se vo bevafaa nahii.n hotii
Balmohan panday
Sher
kitne naadaa.n hai.n tire bhuulne vaale ki tujhe
yaad karne ke liye umr pa.Dii ho jaise
Ahmad Faraz
Sher
Azhar Faragh
Sher
mohabbat karne vaale dard me.n tanhaa nahii.n hote
jo ruuThoge kabhii mujh se to apnaa dil dukhaa.oge