SEARCH RESULTS
Showing search results for "kashmakash-e-sabr-talab"
Sher MATCHES FOR "kashmakash-e-sabr-talab"
Sher
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
dard tuu mere paas se marte talak na jaa.iyo
taaqat-e-sabr ho na ho taab-o-qaraar ho na ho
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Yagana Changezi
Sher
mirii talab me.n takalluf bhii inkisaar bhii thaa
vo nukta-sanj thaa sab mere hasb-e-haal diyaa
Sarshar Siddiqui
Sher
raahat-o-aish o tarab sab hai.n tumhaare dam se
tum mire ghar me.n na aa.o to na aa.e ko.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
Ummeed Fazli
Sher
taalib-e-dost alag rahte hai.n sab se un ko
paas-e-asnaam nahii.n KHvaahish-e-islaam nahii.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ye raah-e-talab yaaro gumraah bhii kartii hai
saamaan usii kaa thaa jo be-sar-o-saamaa.n thaa
Ateequllah
Sher
jo phuul aayaa sabz qadam ho ke rah gayaa
kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr me.n
Khatir Ghaznavi
Sher
vo sar se paa.nv tak hai Gazab se bharaa hu.aa
mai.n bhii huu.n aaj josh-e-talab se bharaa hu.aa
Aftab Hussain
Sher
us se milne kii talab me.n jii liye kuchh aur din
vo bhii KHud biite dino.n se bar-sar-e-paikaar thii
Ashhar Hashmi
Sher
Meer Hasan
Sher
yaad aatii hai achchhii sii ko.ii baat sar-e-shaam
phir sub.h talak sochte rahte hai.n vo kyaa thii
Shamim Abbas
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ataa-e-Gam pe bhii KHush huu.n mirii KHushii kyaa hai
razaa talab jo nahii.n hai vo bandagii kyaa hai
Anwar Sabri
Sher
har daur me.n rahaa yahii aa.iin-e-munsifii
jo sar na jhuk sake vo qalam kar diye ga.e
Alamtaab Tishna
Sher
ye aa.nkhe.n ye dimaaG ye zaKHmo.n kaa ghar badan
sab mahv-e-KHvaab hai.n dil-e-be-taab ke sivaa