SEARCH RESULTS
Showing search results for "kashmakash-haa-e-alam"
Sher MATCHES FOR "kashmakash-haa-e-alam"
Sher
aur kyaa chaahtii hai gardish-e-ayyaam ki ham
apnaa ghar bhuul ga.e un kii galii bhuul ga.e
Jaun Eliya
Sher
aap Thahre hai.n to Thahraa hai nizaam-e-aalam
aap guzre hai.n to ik mauj-e-ravaa.n guzrii hai
Saifuddin Saif
Sher
ye hai KHulaasa-e-ilm-e-qalandarii ki hayaat
KHada.ng-e-jasta hai lekin kamaa.n se duur nahii.n
Allama Iqbal
Sher
tag-o-taaz-e-paiham hai miiraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaa.n aur bhii hai.n
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
Figar Unnavi
Sher
miraa vajuud o adam bhii ik haadsa nayaa hai
mai.n dafn huu.n kahii.n kahii.n se nikal rahaa huu.n
Khaleel Mamoon
Sher
ai gardish-e-ayyaam hame.n ranj bahut hai
kuchh KHvaab the aaise ki bikharne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Sher
ishq rusvaa-kun-e-aalam vo hai 'ahsan' jis se
nek-naamo.n kii bhii bad-naamii o rusvaa.ii hai
Ahsan Marahravi
Sher
ye kyaa hai ki zikr-e-Gam-e-ayyaam bahut hai
shiishe me.n abhii to mai-e-gulfaam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
jab ko.ii fitna-e-ayyaam nahii.n hotaa hai
zindagii kaa ba.Dii mushkil se yaqii.n hotaa hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
jahaa.n vo hai nahii.n vaa.n kufr o islaam
abas jhag.Daa hai shaiKH o barhaman me.n
Meer Mohammadi Bedar
Sher
Allama Iqbal
Sher
jo shaiKH hai chaahe hai sar-e-rishta-e-islaam
qaa.em rahe tasbiih kaa ik taar na TuuTe