SEARCH RESULTS
Showing search results for "katar"
Sher MATCHES FOR "katar"
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Noon Meem Rashid
Sher
hamaare jaise vahaa.n kis shumaar me.n ho.nge
ki jis qataar me.n majnuu.n kaa naam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Sher
masruuf gorkan ko bhii shaayad pata nahii.n
vo KHud kha.Daa hu.aa hai qazaa kii qataar me.n
Nida Fazli
Sher
asiiraan-e-qafas par zulm to sayyaad karte hai.n
ki un ke par katar lete hai.n tab aazaad karte hai.n
Mohammad Naazir Ali Naazir
Sher
kitnaa bhii ra.ng-o-nasl me.n rakhte ho.n iKHtilaaf
phir bhii kha.De hu.e hai.n shajar ik qataar me.n
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
jhuuT ho.nTo.n pe bilaa-KHauf-o-KHatar aayaa hai
muddato.n shahr me.n rah kar ye hunar aayaa hai
Khalid Khwaja
Sher
par katar paa.ii jab na KHvaabo.n ke
ba.nd hii kar dii.n khi.Dkiyaa.n mai.n ne
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
Wasif Dehlvi
Sher
kabhii qataar se baahar kabhii qataar ke biich
mai.n hijr-zaad hu.aa KHarch intizaar ke biich
Ejaz Gul
Sher
saalik hai garche sair-e-maqaamaat-e-dil-fareb
jo ruk ga.e yahaa.n vo maqaam-e-KHatar me.n hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
kahiyo KHud-bii.n se ki aa.iine me.n tanhaa mat baiTh
KHatar aaseb kaa rahtaa hai parii-KHaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
mai.n kis qataar me.n huu.n jahaa.n mujh se saik.Do.n
mar mar ga.e aziyyat-e-zanjiir khii.nch kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sun qataar andar qataar ashjaar kii sargoshiyaa.n
aur kahaanii pa.Dh KHizaa.n ne raat jo tahriir kii