SEARCH RESULTS
Showing search results for "kesh-e-barahman"
Sher MATCHES FOR "kesh-e-barahman"
Sher
kufr o islaam ke jhag.De ko chukaa do saahab
ja.ng aapas me.n kare.n shaiKH o barahman kab tak
Saba Akbarabadi
Sher
jaan kar us but kaa ghar ka.aba ko sajda kar liyaa
ai barahman mujh ko baitullaah ne dhokaa diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
azaa.n kaa kaam chal jaa.e jo naaquus-e-barahman se
ba.Daa ye bojh utre ai mo.azzin terii gardan se
Riyaz Khairabadi
Sher
kis vaaste la.Dte hai.n baham shaiKH-o-barahman
ka.aba na kisii kaa hai na but-KHaana kisii kaa
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
merii saj-dhaj to ko.ii ishq-e-butaa.n me.n dekhe
saath qashqe ke hai zunnaar-e-barahman kaisaa
Riyaz Khairabadi
Sher
kii tark mai.n ne shaiKH-o-barahman kii pairvii
dair-o-haram me.n mujh ko tiraa naam le gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
gale me.n apne pahnaa hai jo tuu ne ai but-e-kaafir
mirii tasbiih ko hai rashk zunnaar-e-barahman par
Meer Kallu Arsh
Sher
hai.n dair-o-haram me.n to bhare shaiKH-o-barahman
juz KHaana-e-dil kiijiye phir qasd kidhar kaa
Joshish Azimabadi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
jahaa.n vo hai nahii.n vaa.n kufr o islaam
abas jhag.Daa hai shaiKH o barhaman me.n
Meer Mohammadi Bedar
Sher
sajda-gaah-e-barhaman aur shaiKH hai.n dair-o-haram
mai-parasto.n ke liye buniyaad mai-KHaane hu.e
Hasrat Azimabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
chalte hai.n bach ke shaiKH o barhaman ke saa.e se
apnaa yahii amal hai bure aadmii ke saath
Kaif Bhopali
Sher
Yagana Changezi
Sher
pahle insaaf se sun le.n mirii do do baate.n
tab gunahgaar kahe.n shaiKH o barhaman mujh ko