SEARCH RESULTS
Showing search results for "khaaluu"
Sher MATCHES FOR "khaaluu"
Sher
dil hai ki tirii yaad se KHaalii nahii.n rahtaa
shaayad hii kabhii mai.n ne tujhe yaad kiyaa ho
Zeb Ghauri
Sher
Jafar Ali Hasrat
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Rajesh Reddy
Sher
bajaa kahe jise aalam use bajaa samjho
zabaan-e-KHalq ko naqqaara-e-KHudaa samjho
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dil soz se KHaalii hai nigah paak nahii.n hai
phir is me.n ajab kyaa ki tuu bebaak nahii.n hai
Allama Iqbal
Sher
Saqi Faruqi
Sher
apnii galii me.n mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se KHalq ko kyuu.n teraa ghar mile
Mirza Ghalib
Sher
aurte.n kaam pe niklii thii.n badan ghar rakh kar
jism KHaalii jo nazar aa.e to mard aa baiThe
Farhat Ehsas
Sher
kab se Tahal rahe hai.n garebaan khol kar
KHaalii ghaTaa ko kyaa kare.n barsaat bhii to ho
Adil Mansuri
Sher
shahr KHaalii hai kise eid mubaarak kahiye
chal diye chho.D ke makka bhii madiina vaale
Akhtar Usman
Sher
ham tire KHvaabo.n kii jannat se nikal kar aa ga.e
dekh teraa qasr-e-aalii-shaan KHaalii kar diyaa
Aitbar Sajid
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n