SEARCH RESULTS
Showing search results for "khairiyat"
Sher MATCHES FOR "khairiyat"
Sher
ilaahii mire dost ho.n KHairiyat se
ye kyuu.n ghar me.n patthar nahii.n aa rahe hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ye inaayate.n Gazab kii ye balaa kii mehrbaanii
mirii KHairiyat bhii puuchhii kisii aur kii zabaanii
Nazeer Banarasi
Sher
Shuja Khaavar
Sher
us kii beTii ne uThaa rakkhii hai duniyaa sar par
KHairiyat guzrii ki anguur ke beTaa na hu.aa
Agah Dehlvi
Sher
duKHtar-e-raz ne uThaa rakkhii hai aafat sar par
KHairiyat guzrii ki anguur ke beTaa na hu.aa
Akbar Allahabadi
Sher
mire andar Dha.nDoraa piiTtaa hai ko.ii rah rah ke
jo apnii KHairiyat chaahe vo bastii se nikal jaa.e
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
Irfan Hameed
Sher
dil me.n na ho jur.at to mohabbat nahii.n miltii
KHairaat me.n itnii ba.Dii daulat nahii.n miltii
Nida Fazli
Sher
kaifiyat mahfil-e-KHuubaa.n kii na us bin puuchho
us ko dekhuu.n na to phir de mujhe dikhlaa.ii kyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ye kaifiyat hai merii jaan ab tujhe kho kar
ki ham ne KHud ko bhii paayaa nahii.n bahut din se
Azhar Iqbal
Sher
vo apne husn kii KHairaat dene vaale hai.n
tamaam jism ko kaasa banaa ke chalnaa hai
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
va.ada mu.aavze kaa na kartaa agar KHudaa
KHairaat bhii saKHii se na miltii faqiir ko
Muzaffar Warsi
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
kahaa.n qaraar hai kahne ko dil qaraar me.n hai
jo thii KHizaa.n me.n vahii kaifiyat bahaar me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
tum ne kis kaifiyat me.n muKHaatab kiyaa
kaif detaa rahaa lafz-e-'tuu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Fazil Jamili
Sher
ai mohabbat mujh ko aisaa hausla KHairaat kar
us ko baazuu se paka.D kar kah sakuu.n ki baat kar