SEARCH RESULTS
Showing search results for "khala ki jaan"
Sher MATCHES FOR "khala ki jaan"
Sher
sunaa thaa mai.n ne ki fitrat KHalaa kii dushman hai
so vo badan mirii tanhaa.iyo.n ko paaT gayaa
Irfan Siddiqi
Sher
kisii ke lauTne kii jab sadaa sunii to khulaa
ki mere saath ko.ii aur bhii safar me.n thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
ye intizaar na Thahraa ko.ii balaa Thahrii
kisii kii jaan ga.ii aap kii adaa Thahrii
Naseem Amrohvi
Sher
aisaa tire firaaq me.n biimaar ho gayaa
mai.n chaaraagar kii jaan ko aazaar ho gayaa
Tasveer Dehlvi
Sher
ye kah ke mere saamne Taalaa raqiib ko
mujh se kabhii kii jaan na pahchaan jaa.iye
Bekhud Dehlvi
Sher
in me.n lahuu jalaa ho hamaaraa ki jaan o dil
mahfil me.n kuchh charaaG farozaa.n hu.e to hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
na jaane kah ga.e kyaa aap muskuraane me.n
hai dil ko naaz ki jaan aa ga.ii fasaane me.n
Parvez Shahidi
Sher
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaa.ii
gintii ke do hai.n lekin laakho.n kii jaan par hai.n
Muztar Khairabadi
Sher
jamhuuriyat bhii turfa-tamaasha kaa kis qadar
lauh-o-qalam kii jaan yad-e-aharman me.n hai
Bebak Bhojpuri
Sher
kuchh iztiraab-e-ishq kaa aalam na puuchhiye
bijlii ta.Dap rahii thii ki jaan is badan me.n thii
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tamannaa ik tarah kii jaan hai jo marte dam nikle
judaa.ii ik tarah kii maut hai jo jiite-jii aa.e
Muztar Khairabadi
Sher
ye intihaa-e-kaar-e-numuu hai ki jaan-e-jaa.n
us ne tire badan sii ko.ii chiiz KHalq kii
Kazim Rizvi
Sher
Qateel Shifai
Sher
mai-KHaana-e-hastii kaa jab daur KHaraab aayaa
kulla.D me.n sharaab aa.ii patte pe kabaab aayaa
Unknown
Sher
jab kabhii mai.n ne ye puuchhaa ki KHataa kis kii hai
be-dha.Dak bol uThe tere sivaa kis kii hai