SEARCH RESULTS
Showing search results for "khat-e-tiirgii"
Sher MATCHES FOR "khat-e-tiirgii"
Sher
ka.abe se mujh ko laa.ii savaad-e-kunisht me.n
islaah dii buto.n ne KHat-e-sar-navisht me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
ehsaas-e-tiirgii thaa use raushnii ke ba.ad
is KHauf se charaaG kii lau kaa.nptii rahii
Nawab Ahsan
Sher
KHatt-e-peshaanii me.n saffaak azal ke din se
terii talvaar se likkhii hai shahaadat merii
Shabab
Sher
dete nahii.n sujhaa.ii jo duniyaa ke KHatt-o-KHaal
aa.e hai.n tiirgii me.n magar raushnii se ham
Anjum Rumani
Sher
pop dhamaake me.n ham bhaktii Dhuu.nD rahe hai.n
maiDonaa ke KHatt-o-KHaal me.n miiraa dekhe.n
Ahmad Shanas
Sher
kartaa hai kaar-e-raushnii mujh ko jalaa ke din
kartii hai kaar-e-tiirgii mujh ko bujhaa ke raat
Ain Irfan
Sher
pher laataa hai KHat-e-shauq miraa ho ke tabaah
zab.h kar Daaluu.ngaa ab kii jo kabuutar bahkaa
Rind Lakhnavi
Sher
yaar ne KHatt-o-kabuutar ke kiye hai.n Tuk.De
purze kaaGaz ke kare.n jam.a ki par jam.a kare.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
hargiz na mujh se saaf hu.aa yaar yaa nasiib
KHat bhii likhaa jo us ne to KHatt-e-Gubaar me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHat-e-shikasta me.n kyaa jaane kab kashiid aa jaa.e
ki saa.ns rok ke kariyo miyaa.n kitaabat-e-‘ishq
Kamran Nafees
Sher
vaqt hii vo KHat-e-faasil hai ki ai ham-nafaso
duur hai mauj-e-balaa aur kinaare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Sher
shaayad mizaaj ham se mukaddar hai yaar kaa
likkhaa hai us ne ham ko ba-KHatt-e-Gubaar KHat
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
Abdul Aziz Khalid
Sher
us kii pa.Dii na aa.nkh KHat-o-KHaal par tire
kabk-e-darii to rafta-e-raftaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vahaa.n zer-e-bahs aate KHat-o-KHaal o KHuu-e-KHuubaa.n
Gam-e-ishq par jo 'anvar' ko.ii seminar hotaa