SEARCH RESULTS
Showing search results for "khatima"
Sher MATCHES FOR "khatima"
Sher
Khalida Uzma
Sher
Gam apne hii ashko.n kaa KHariidaa hu.aa hai
dil apnii hii haalat kaa tamaashaa.ii hai dekho
Zehra Nigaah
Sher
ziist aur maut kaa aaKHir ye fasaana kyaa hai
umr kyuu.n hasb-e-zaruurat nahii.n dii jaa saktii
Khalida Uzma
Sher
bhare ho.n aa.nkh me.n aa.nsuu KHamiida gardan ho
to KHaamushii ko bhii iz.haar-e-mudda.aa kahiye
Shad Azimabadi
Sher
kamar KHamiida nahii.n be-sabab za.iifii me.n
zamiin Dhuu.nDte hai.n vo mazaar ke qaabil
Khwaja Meer Dard
Sher
safar kaa KHaatma hotaa nahii.n kahii.n apnaa
har ik pa.Daav se ik ibtidaa nikaltii hai
Nashir Naqvi
Sher
basii hai suukhe gulaabo.n kii baat saa.nso.n me.n
ko.ii KHayaal kisii yaad ke hisaar me.n hai
Khalida Uzma
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
pursish-e-haal pe hai KHaatir-e-jaanaa.n maa.il
jur.at-e-koshish-e-iz.haar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
Humaira Rahat
Sher
kyuu.n ishq ke jhag.De ko le jaataa hai uqbaa me.n
kar KHaatma duniyaa me.n duniyaa kii musiibat kaa
Qadr Oraizi
Sher
Pallav Mishra
Sher
haqiiqate.n to aTal hai.n badal nahii.n saktii.n
magar kisii kii tasallii se hausla hu.aa hai
Khalida Uzma
Sher
aashufta-KHaatirii vo balaa hai ki 'sheftaa'
taa.at me.n kuchh maza hai na lazzat gunaah me.n
Shefta Mustafa Khan
Sher
Guruur-e-ishq me.n ik inkisaar-e-faqr bhii hai
KHamiida-sar hai.n vafaa ko alam banaate hu.e
Jaleel 'Aali'
Sher
vo jitnii KHud-numaa.ii kar rahaa hai
KHud apnii jag-ha.nsaa.ii kar rahaa hai