SEARCH RESULTS
Showing search results for "kheme"
Sher MATCHES FOR "kheme"
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize
Mohsin Naqvi
Sher
chamak rahe the andhere me.n soch ke jugnuu
mai.n apnii yaad ke KHeme me.n so nahii.n paayaa
KHalid Malik Sahil
Sher
aataa hai KHauf aa.nkh jhapakte hu.e mujhe
ko.ii falak ke KHeme kii rassii na kaaT de
Shahzad Ahmad
Sher
hai.n chaaro.n taraf KHeme kha.De gard-baad ke
kyaa jaaniye junuu.n ne iraada kidhar kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
Shah Naseer
Sher
'zakii' hamaaraa muqaddar hai.n dhuup ke KHeme
hame.n na raas kabhii aayaa saa.ebaan ko.ii
Zaki Tariq
Sher
paka.Dne vaale hai.n sab KHeme aag aur behosh
pa.De hai.n qaafila-saalaar mish.alo.n ke qariib
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
malte hai.n KHuub-ruu tire KHeme se chhaatiyaa.n
a.ngiyaa kii Doriyaa.n hai.n muqarrar qanaat me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
sar-barahna biibiyo.n ke baal chaa.ndii ho ga.e
KHeme phir istaada kab ho.nge ridaa kab aa.egii
Irfan Siddiqi
Sher
jiinaa hai gar to zaKHm lagaa apne aap ko
bachne ko aa.ndhiy.o.n se tuu KHeme me.n chhed kar
Zahoor Minhas
Sher
sham-e-KHema ko.ii zanjiir nahii.n ham-safaraa.n
jis ko jaanaa hai chalaa jaa.e ijaazat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
sajnii kii aa.nkho.n me.n chhup kar jab jhaa.nkaa
bin holii khele hii saajan bhiig gayaa
Musavvir Sabzwari
Sher
chamak rahaa hai KHema-e-raushan duur sitaare saa
dil kii kashtii tair rahii hai khule samundar me.n
Zeb Ghauri
Sher
havaa-e-kuufa-e-naa-mehrbaa.n ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-razaa me.n zinda hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
yaaraan-e-be-bisaat ki har baazii-e-hayaat
khele baGair haar ga.e maat ho ga.ii
Hafeez Jalandhari
Sher
mai.n to har har KHam-e-gesuu kii talaashii luu.ngaa
ki miraa dil hai tire gesuu-e-KHamdaar ke paas