SEARCH RESULTS
Showing search results for "khot"
Sher MATCHES FOR "khot"
Sher
mai me.n ko.ii KHaamii hai na saaGar me.n ko.ii khoT
piinaa nahii.n aa.e hai to chhalkaa.e chalo ho
Kaleem Aajiz
Sher
parakhne vaale mujhe dekh is tarah bhii zaraa
agar hai khoT to kaise chamak rahaa huu.n mai.n
Kausar Niyazi
Sher
nasha vujuud kaa jab tak utar nahii.n jaataa
dilo.n se khoT nigaaho.n se shar nahii.n jaataa
Haneef Najmi
Sher
Waseem Barelvi
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
gaahe gaahe kii mulaaqaat hii achchhii hai 'amiir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
Ameer Minai
Sher
duniyaa jise kahte hai.n jaaduu kaa khilaunaa hai
mil jaa.e to miTTii hai kho jaa.e to sonaa hai
Nida Fazli
Sher
Jamal Ehsani
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
vo kaun thaa jo din ke ujaale me.n kho gayaa
ye chaa.nd kis ko Dhuu.nDne niklaa hai shaam se
Adil Mansuri
Sher
ishq kii choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahii
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahii
Jalal Lakhnavi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
aaj phir nii.nd ko aa.nkho.n se bichha.Dte dekhaa
aaj phir yaad ko.ii choT puraanii aa.ii
Iqbal Ashhar
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
phir kho na jaa.e.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n
miltii hai paas aane kii mohlat kabhii kabhii