SEARCH RESULTS
Showing search results for "khubii"
Sher MATCHES FOR "khubii"
Sher
iqraar me.n kahaa.n hai inkaar kii sii KHuubii
hotaa hai shauq Gaalib us kii nahii.n nahii.n par
Meer Taqi Meer
Sher
Allama Iqbal
Sher
allaah-rii jism-e-yaar kii KHuubii ki KHud-ba-KHud
ra.ngiiniyo.n me.n Duub gayaa pairahan tamaam
Hasrat Mohani
Sher
Nida Fazli
Sher
hai ye taqdiir kii KHuubii ki nigaah-e-mushtaaq
pardaa ban jaa.e agar parda-nashii.n tak pahu.nche
Jagdish Sahay Saxena
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
kuchh samajh kar us mah-e-KHuubii se kii thii dostii
ye na samjhe the ki dushman aasmaa.n ho jaa.egaa
Imdad Imam Asar
Sher
vo ayaadat ke liye aa.e hai.n lo aur sahii
aaj hii KHuubii-e-taqdiir se haal achchhaa hai
Unknown
Sher
jam.a kar liijiye Gairo.n ko magar KHuubii-e-bazm
bas vahii.n tak hai ki baazaar na hone paa.e
Shibli Nomani
Sher
kyuu.n na apnii KHuubi-e-qismat pe itraatii havaa
phuul jaise ik badan ko chhuu kar aa.ii thii havaa
Abid Munavari
Sher
Nishant Shrivastava Nayab
Sher
is KHuubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shaKHs mirii jaa.n kaa talabgaar hu.aa hai
Tanveer Anjum
Sher
KHuubaan-e-jahaa.n kii hai tire husn se KHuubii
tuu KHuub na hotaa to ko.ii KHuub na hotaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tiraa qad sarv sii.n KHuubii me.n cha.Dh hai
laTak sumbul setii zulfaa.n sii.n ba.Dh hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
ye daaG nahii.n tan par mai.n dekhne ko tere
ai ra.ng-e-gul-e-KHuubii aa.nkhe.n huu.n lagaa laayaa
Shah Naseer
Sher
sad-chaak kiyaa pairhan-e-gul ko sabaa ne
jab vo na tirii KHuubii-e-poshaak ko pahu.nchaa
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
ye KHuubii hai ki naa-KHuubii magar mai.n
alag chaltaa huu.n apne kaarvaa.n se