SEARCH RESULTS
Showing search results for "khud-soz"
Sher MATCHES FOR "khud-soz"
Sher
kam-ayaarii ne KHudaa-soz banaayaa aisaa
but to sab yaad rahe ek KHudaa bhuul ga.e
Sarwar Alam Raz
Sher
apne lahuu me.n zahr bhii KHud gholtaa huu.n mai.n
soz-e-daruu.n kisii pe nahii.n kholtaa huu.n mai.n
Imran-ul-haq Chauhan
Sher
barhaman khole hiigaa but-kada kaa darvaaza
band rahne kaa nahii.n kaar-e-KHudaa-saaz apnaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
bastiyo.n vaale to KHud o.Dh ke patte, so.e
dil-e-aavaara tujhe raat sambhaalaa kis ne
Ali Akbar Natiq
Sher
garmii lagii to KHud se alag ho ke so ga.e
sardii lagii to KHud ko dobaara pahan liyaa
Bedil Haidari
Sher
mai.n so gayaa to zamaane kii khul ga.ii.n aa.nkhe.n
mai.n jaagtaa thaa to soyaa hu.aa zamaana thaa
Fani Badayuni
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa
Balmohan panday
Sher
kuchh KHauf-e-KHudaa kiijiye is tarah na chaliye
sau baar to is chaal pe talvaar chalii hai
Nawab Begam Hijab
Sher
husn-e-aaraasta qudrat kaa atiyya hai magar
kyaa miraa ishq-e-jigar-soz KHudaa-daad nahii.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
mai.n ek saa.at-e-be-KHud me.n chhuu gayaa thaa jise
phir us ko lafz tak aate hu.e zamaane lage
Abdul Ahad Saaz
Sher
sab se ba.Daa fareb hai KHud zindagii 'adaa'
is hiila-juu ke saath hai.n ham bhii bahaana-saaz
Ada Jafarey
Sher
vo so rahaa hai KHudaa duur aasmaano.n me.n
farishte loriyaa.n gaate hai.n us ke kaano.n me.n
Abdur Rahim Nashtar
Sher
mai.n apne aap se aage nikalne vaalaa thaa
so KHud ko apnii nazar se giraa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
Abdul Ahad Saaz
Sher
jin ko KHud jaa ke chho.D aa.e qabro.n me.n ham
un se raste me.n muDbhe.D hotii rahii