SEARCH RESULTS
Showing search results for "khuro.n"
Sher MATCHES FOR "khuro.n"
Sher
aa.nkhe.n khulii.n to jaag uThii.n hasrate.n tamaam
us ko bhii kho diyaa jise paayaa thaa KHvaab me.n
Siraj Lakhnavi
Sher
qabro.n me.n nahii.n ham ko kitaabo.n me.n utaaro
ham log mohabbat kii kahaanii me.n mare.n hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
girjaa me.n mandiro.n me.n azaano.n me.n baT gayaa
hote hii sub.h aadmii KHaano.n me.n baT gayaa
Nida Fazli
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidari
Sher
sab log apne apne KHudaa.o.n ko laa.e the
ik ham hii aise the ki hamaaraa KHudaa na thaa
Bashir Badr
Sher
jo mere gaa.nv ke kheto.n me.n bhuuk ugne lagii
mire kisaano.n ne shahro.n me.n naukrii kar lii
Arif Shafiq
Sher
KHol chehro.n pe cha.Dhaane nahii.n aate ham ko
gaa.nv ke log hai.n ham shahr me.n kam aate hai.n
Bedil Haidari
Sher
hasiin yaado.n ke chaa.nd ko alvidaa.a kah kar
mai.n apne ghar ke a.ndhere kamro.n me.n lauT aayaa
Hasan Abbasi
Sher
kuchh itnii raushnii me.n the chehro.n ke aa.ine
dil us ko Dhuu.nDhtaa thaa jise jaantaa na thaa
Ada Jafarey
Sher
Bashir Badr
Sher
KHato.n ko kholtii diimak kaa shukriya varna
ta.Dap rahii thii lifaafo.n me.n be-zabaanii pa.Dii
Azhar Faragh
Sher
hai meraa chehra saika.Do.n chehro.n kaa aa.iina
bezaar ho gayaa huu.n tamaashaa.iyo.n se mai.n
Ahmad Ziya
Sher
ek qabristaan me.n ghar mil rahaa hai
jis me.n tah-KHaano.n se tah-KHaane lage hai.n
Dushyant Kumar
Sher
kaifiyat mahfil-e-KHuubaa.n kii na us bin puuchho
us ko dekhuu.n na to phir de mujhe dikhlaa.ii kyaa