SEARCH RESULTS
Showing search results for "khvaab-khvaab"
Sher MATCHES FOR "khvaab-khvaab"
Sher
Jaun Eliya
Sher
haqiiqato.n se mafar chaahii thii 'yashab' mai.n ne
par asl asl rahaa aur KHvaab KHvaab rahaa
Yashab Tamanna
Sher
'aadil' saje hu.e hai.n sabhii KHvaab KHvaan par
aur intizaar-e-KHalq-e-KHudaa kar rahe hai.n ham
Zulfiqar Aadil
Sher
bahut dino.n se hisaar-e-tilism-e-KHvaab me.n thaa
tilism TuuT gayaa KHvaab se nikal aayaa
Mahboob Zafar
Sher
manzar-e-shaam-e-Gariibaa.n hai dam-e-ruKHsat-e-KHvaab
ta.aziye kii tarah uTThaa hai ko.ii bistar se
Azhar Faragh
Sher
teraa hii raqs silsila-e-aks-e-KHvaab hai
is ashk-e-niim-shab se shab-e-maahtaab tak
Azhar Naqvi
Sher
ye zamii.n KHvaab hai aasmaa.n KHvaab hai
ik makaa.n hii nahii.n laa-makaa.n KHvaab hai
Farhat Shahzad
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
zindagii KHvaab hai aur KHvaab bhii aisaa ki miyaa.n
sochte rahiye ki is KHvaab kii ta.abiir hai kyaa
Ahmad Ata
Sher
har ik makaa.n me.n guzargaah-e-KHvaab hai lekin
agar nahii.n to nahii.n ishq ke janaab me.n KHvaab
Nazeer Akbarabadi
Sher
zindagii KHvaab hai aur KHvaab bhii aisaa ki jise
jaagtii aa.nkho.n se sab ke liye dekhaa jaa.e
Ali Ul-Hasnain
Sher
KHvaab ke aage shikast-e-KHvaab kaa thaa saamnaa
ye safar thaa marhala-dar-marhala TuuTaa hu.aa
Aftab Iqbal Shamim
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
zindagii ik KHvaab hai ye KHvaab kii taabiir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paa.nv kii zanjiir hai