SEARCH RESULTS
Showing search results for "khwab hi khwab obaidullah aleem ebooks"
Sher MATCHES FOR "khwab hi khwab obaidullah aleem ebooks"
Sher
ai mere KHvaab aa mirii aa.nkho.n ko rang de
ai merii raushnii tuu mujhe raastaa dikhaa
Obaidullah Aleem
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
zindagii ik KHvaab hai ye KHvaab kii taabiir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paa.nv kii zanjiir hai
Obaidullah Siddiqui
Sher
zindagii KHvaab hai aur KHvaab bhii aisaa ki jise
jaagtii aa.nkho.n se sab ke liye dekhaa jaa.e
Ali Ul-Hasnain
Sher
haa.e vo log ga.e chaa.nd se milne aur phir
apne hii TuuTe hu.e KHvaab uThaa kar le aa.e
Obaidullah Aleem
Sher
KHvaab ke jaisaa na paayaa KHvaab kii taa'biir se
dard vahshat hijr sahraa hii milaa taqdiir se
Ali Asar Bandvi
Sher
niind aatii hai magar jaag rahaa huu.n sar-e-KHvaab
aa.nkh lagtii hai to ye umr guzar jaanii hai
Ali Iftikhar Jafri
Sher
har KHvaab shikasta hai ta.amiir-e-nasheman kaa
har sub.h ke maathe par baazaar kii garmii hai
Afroz Alam
Sher
bayaa.n KHvaab kii tarah jo kar rahaa hai
ye qissa hai jab kaa ki 'aatish' javaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Sher
dekhte ham bhii hai.n kuchh KHvaab magar haa.e re dil
har na.e KHvaab kii ta.abiir se Dar jaataa hai
Abdullah Javed
Sher
tamiiz-e-KHvaab-o-haqiiqat hai shart-e-bedaarii
KHayaal-e-azmat-e-maazii ko chho.D haal ko dekh
Sikandar Ali Wajd
Sher
hai ye ummiid mire KHvaab me.n aap aa.e.nge
ek dar aa.nkh kaa rakhtaa huu.n khulaa raat ke vaqt
Asim Wasti
Sher
mai.n tujh ko dast-e-haqiiqat se chhuu ke dekhuu.ngaa
tuu ek paikar-e-KHvaab-o-KHayaal hai jaanaa.n
Riasath Ali Asrar
Sher
dene vaale tuu mujhe nii.nd na de KHvaab to de
mujh ko mahtaab se aage bhii kahii.n jaanaa hai
Azeem Haider Syed
Sher
murjhaa.e hu.e gul par ik buu.nd hai shabnam kii
taa'biir kii palko.n par ik KHvaab kaa aa.nsuu hai
Riasath Ali Asrar
Sher
Ali Ul-Hasnain
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
aasaar-e-ishq aa.nkho.n se hone lage ayaa.n
bedaarii kii taraqqii hu.ii KHvaab kam hu.aa